01

Love Guards ~Phase 2~ Part 66

Next Day

Shiraz aur Maya ke Ilawa sab 9 bje tak Khurana Mension Ke hall mein Picnic ke liye ready hokar aa chuke the wahin Mahi , Rudraksh aur Shivan (Mahi aur Rudraksh ka beta jo 5 Saal ka hai vo) bhi aa jate hain

Isha : Abb sab toh aa hi gaye hain.. aur bus bhi aa chuki hai.. toh chaliye sab bus mein jakar baith jate hai

Abb sab khurana mension se nikal kar bus mein jakar baith jate hain

Aadhya : Sab aa gaye hain?

Everyone : Yes....

Isha : (to driver) chaliye bhaiya...

Diver bus start kar deta hai tabhi

Khushi : Par Ishu abhi tak Maya aur Shiraz toh aaye hi nhi

Yeh baat sun Aadhay aur isha ek dusre ki taraf dekhte hain Aur Rabbit, Meher ek dusre ki taraf... charo man hi Man smile karte hain

*Flashback *

Shiraz ready ho chuka tha aur apne room mein tha wahin Maya abb wardrob se apni dress nikalti hai jo use pehenni thi aur vo Nahane hi ja rhi thi ki tabhi... unhe Meher ke rone ki awaz aati hai Jisse Maya apni dress washbasin ke shelf par rakh kar bahar ko bhagti hai wahin Shiraz aur Maya dono Meher ki rone ki awaz sun living room mein chale jate hain aur dekhte hain ki Meher floor par baith lar ro rhi hai...Shiraz jakar use godh mein utha leta hai

Shiraz : Kya hua doll... ro kyu rhi ho

Meher : (*acting*) Mai sofe se gir gayi ๐Ÿ˜ญ

Vo dono meher ko chup karwane lagte hain... wahin Mauke ka fayda utha kar Rabbit scissor lekar Maya Ke room ke washroom mein chali jati hai aur jo dress Maya ne pehenne ke liye nikali thi use scissor se cut Kar ke wahan se nikal jati hai aur Meher ko ishara Kar deti hai jisse abb Meher rona band Kar deti hai

Meher : Thik ho gayi papa ๐Ÿ˜Š... (uski godh se utarti hai) mumma aap ready ho jao

Maya : Hnn mai jati hoon (utna kehkar wahan se room Mein chali jati hai )

Shiraz : Paka thik ho na bache

Meher : Yes papa... abb aap jao aur bag pack Kar lo...Mai Abhisha didi ke pass jaa rhi hoon

Shiraz : Okay ๐Ÿ˜Š (abb vo bhi room mein chala jata hai )

Shiraz je jate hi Rabbit Meher ke pass aa jati hai

Meher : Kaam ho gaya di?

Rabbit : (use Maya aur Shiraz ka phone dikhate hueKehti hai) ho gaya ๐Ÿ˜‰...

Meher : Aab chalein?

Rabbit : Hnn

Itna kehkar Rabbit wahin table par Maya aur Shiraz kaPhone rakh deti hai aur fir dono Shiraz ke room ke Pass chale jate hain Vo dekhte hain ki Shiraz bag pack kar raha hai aurMaya nahane gayi hui hai whain abb dono dheere se door band karti hain aur bahar se halka sa lock laga deti hain taki 3-4 bar push karne se vo khul jae Wahin abb dono bhag kar khurana mension ke Hall mein chali jati hain jahan baki sab the aur Vo Aadisha ko ishara kar dete hain ki kaam ho gaya

*Flashback End*

Isha (to khushi) : Mumma bhaiya ko kuch kaam tha..Vo keh rhe the ki vo aur Maya car mein aayenge

Wahin abb bus wahan se nikal jati hai

Dusri taraf Maya jo abb naha kar vo dress pehen kar Room mein aatai hai aur mirror ke samne aakar ready hone lagti hai tabhi Shiraz ki nazar Maya ki Waist par padhti hai jahan se vo dress fati hui thi

Shiraz : Mushak

Maya : (Mirror se hi uski taraf dekhti hai) Hnn...?

Shiraz : V-vo.. aapki dress...

Maya : Kya hua? dress aachi nhi lag rhi kya?

Shiraz : Nhi vo.... dress fat gayi hai waist wali side Se...

Maya : Kya!! (Vo apni dress dkehti hai) Yeh kaise fat gayi... jab almera se nikali thi tab toh thik thi... Mai Change karke aati hoon

Itna kehkar wapas washroom mein chali jati hai Aur 5 min mei dress change karke aa jati hai Wahi abb akar fatafat ready ho jati hai wahi Abb shiraz room ka door kholne lagta hai par nhi Khulta... vo 2-3 bar try karta hai fir bhi nhi khulta

Shiraz : Door nhi khul raha....

Maya : Areh aise kaise nhi khul raha...

Shiraz : Shayad kisi ne bahar se lick kar diya hai

Maya : Yeh pakka meher kar kaam hoga... Deva re Deva... yeh ladki

Shiraz : Mai phone karta hoon kisi ko (itna kehkar Apni pocket check karne lagta hai aur jab pocket Mein phone mhi milta toh bed ke soide table par Check karta hai.) Mera phone kaha gaya... yahiRakha rha maine...

Maya : Mera phone bhi nhi hai yahan.... Abb kya karenge

Shiraz : kisi ke aane ka wait ๐Ÿซ 

Maya : Par tab rak toh sab chale jaenge... kuch Karo Shiraz!!

Shiarz : Mai firse try karta hoon (itna kehkar iss Par apni puri takat laga kar koshish karta hai jise 3-4 bar karne par door khul jata hai) khul gaya

Maya : Chalo abbb..

Vo niche aate hain toh unhe apna phone table par Padha dikhta hai jisse vo apna phone uthate hain aur bahar aakar dekhte hain par wahan par bus nhi Thi...

Maya : Bus chali gayi kya? Mai di ko call karti hoon (Vo Isha ko call karti hai)

Isha jo ki alag se Aadhya ke baithi thi vo abb uska call uthati hai..

Maya : *On call* Hello di... aap sab kaha ho?

Isha : Maya... late ho raha tha isliye hum saba nikal gaye... aap aur Shiraz bhaiya car mein aa jaoge pls

Maya : Okay di... *disconnected *.. Di keh rahe hain Ki car mein aa jao...

Shiraz : Mai car ki keys leke aata hoon...

Abb Shiraz keys le aata hai aur vo dono car mein hi nikal jate hain .....

_____________________________

~OTHER SIDE~

Ek ladki red suit pehne mirror ke samne khadi Ready ho rhi thi... wahin jaise hi vo apna mangalsutar Ithane kagti hai waise hi piche se koi aata hai aur Vo mangalsutar utha leta hai

He : No Tashvi... Apni biwi ko mangalsutar pehnane Ka hak toh mera hai na ๐Ÿ˜‰.. Mujhse mera hak mat Chinno jaan

Tashvi uski taraf turn hoti hai

Tashvi : Mujhe bhi koi shauk nhi hai apne pati ka Hak chinne mein... tumhara kaam hai... tum hi pehnao ๐Ÿ˜™

Abb Tashvi ka husband (Kartik) us mangalsutar pehna Deta hai

Abb Tashvi apne hath mein Sindhor ki dibbi leti ha Aur Kartik ki taraf karti hai

Tashvi : Humesha mujhse aise hi pyar karoge na?

Kartik : (sidhoor lekar Tashvi ki mang mein bhar deta hai) Apni aakhiri sans tak meri jaan (itna kehkar Uske forehead par kiss kar deta hai) Aacha abbmai office jata hoon... late ho raha hai...

Tashvi : Okay ๐Ÿ˜Š

Kartik Jane lagta hai tabhi

Tashvi : Suno...

Kartik : (uski taraf turn karta hai) Bolo

Tashvi : Aaj raat mein jaldi aa jana... Aaj humari Anniversary hai na toh date par chalenge ๐Ÿ˜Š

Kartik : Okay meri jaan ๐Ÿ˜™ (itna kehkar whaan se chala jata hai)

*Tashvi Aadhya ki college ki friend thi jisne Aadhya ko Bataya tha ki Maya Doda mein hai*

_____________________________

~OTHER SIDE ~

Shiraz ko car chalate hue 1.5 hours ho gaye the aur Abhi itna hi rasta aur bacha tha... lekin iss 1.5 hour mein dono ne ek bhi sabdh nhi bola...

Maya : (mn mein) Hnn manti hoon meri galti thi... par Itna bhi kya gussa ki ek bar inn 3 saalon mein ek Bar call back nhi Kiya.... kya yeh kisi aur se pyar Karta hai... kya Shiraz abhi bhi mujhse nafrat karta hai... Deva re Deva... Mai kyu soch rhi hoon itna

Shiraz : (mn mein) Hnn mana ki maine kaha ki kash hum dubara kabhi na mile...par kya mushak ko yeh tak Samjh nhi aaya ki dil todha tha unhone mera isliye Aisa kaha maine... jo bhi ho... unhone toh mujhe Yeh bhi nhi bataya ki mere bache bhi hain

Tabhi achanak se car ruk jati hai

Maya : Kya hua? Car kyu roki?

Shiraz : Maine nhi roki... apne aap ruk gayi... wait Mai check karta hoon...

Itna kehkar vo car se nikal kar aage se car check karne lagta hai wahin dhoop lafi tez thi jisse Shiraz ko passene aane lagte hain yeh dekh Maya car se ek umbrella aur ek chota hand fan Lekar car se nikalti hai aur umbrella khol kar Shiraz Ko usse shed kadke hue khadi ho jati hai aur vo hand fan On karke uski taraf kar deti hai

Shiraz : (Maya ki taraf dekhta hai) Aap bahar kyu Aayi mushak? Yahan bohot Garmi hai aap car mein Jakar baithiye

Maya : Nhi mai thik hoon... tum check Karo Abb Shiraz wapas se check karne lagta hai

Shiraz : Yeh toh bilkul thik hai... fir car kyu nhi start ho rhi...

Tabhi achanak se dhoop gayab ho jati hai aur Thandi, Halki Hawaein chalne lagti hai jisse abb Maya Umbrella aur fan off karke car mein rakh deti hai Aur wapas se shiraz ke pass aati hai...

Maya : Abb toh dhop bhi chali gayi... aur mausam bhi Kitna pyara ho gaya... (to shiraz) Car thik ho gayi?

Shiraz : Hnn isme koi dikat hi nhi hai... Par pata nhi Car start kyu nhi ho rhi thi

Maya : Firse try karo.. kya pata start ho jae.. (Itna kehkar wapss car mein baithne jane lagti hai)

Tabhi Shiraz Maya ka hath pakad kar apne taraf turn karte hue khich kar use apne kareeb kar leta hai jisse Maya ki heartbeat tez ho jati hai

Maya : K-kya kar rhe ho shiraz ๐Ÿ˜ณ

Shiraz : Kyu!? Kyu nhi bataya mujhe mushak ๐Ÿฅบ

Maya : Kya nhi bataya Shiraz?

Shiarz : Ki aap pregnant thi!!... kyu nhi bataya apneMujhe ki mere bache bhi hain ๐Ÿฅบ

Maya : (use apna hath churvati hai) Batane ki koshish Ki thi maine!! Call kiye the... 1 bar nhi 100 bar kiya Tha call... par na tumne call pick kiya na na hi Call back... itni nafrat karne lage the tum mujhse... Toh mujhe laga ki agar tum mujhse hi itni nafrat Karte ho toh inn bacho ko bhi kyu hi except karoge

Shiraz : (ek step May ki taraf leta hai) Aapko sach mein Lagta hai ki mai... aapse... apni mushak se nafrat kar sakta hoon!!? Kya aapko sach mein meri aankon mein nafrat dikhti hai aapke liya.. ya humare bachon Ke liye? ๐Ÿฅบ

Maya : Toh call kyu nhi uthaye!!? Kyu call back nhi kiya... mujhe dhundne ki bhi koshish nhi ki!? Kyu? ๐Ÿฅบ

Shiraz : Aapne call kiya tha?... kab ?

Maya : Kab!!?.. Jab hum alag ho gaye the... humare Alag hone ke kuch halfton baad pata chala tha mujhe Ki mai pregnant hoon... tab koshish ki thi batane ki... Bohot call kiye the ๐Ÿ˜ฃ

Shiraz uski baat sun kuch kadam piche hota hai aur turn ho jata hai

Shiraz : Kismat khel khel rhi hai humare sath

Maya : Matlab ?

Shiraz : (Maya ki taraf turn hota hai) Humare alag hone ke kuch din baad... mera accident ho gaya tha..

Maya : Huh!!! ๐Ÿฅบ

Shiraz : Ap jis time ki baat kar rhein hain mushak.. Tab mai coma mein tha... kuch halfte pehle hi coma Se bahar aaya hoon...

Maya : (jakar use hug kar leti hai aur rone lagti hai) I'm sorry Shiraz... mai inn 3 saalon mein tumhe galat Samjhti aayi... I'm so sorry ๐Ÿ˜ฃ

Shiraz : (use hug back karta hai aur uske bhi aankon Se aansu behne kagte hain) I'm sorry too mushak...Mai aapke sabse tough time mein aapke sath nhi tha ๐Ÿ˜ฃ

Maya : (hug break karyi hai aur Shiraz ke aansu Saal karte hue bolti hai) bas abb... humari misunderstanding dhur ho gayi hai na... toh abb kyu rona... abb tohSab thik ho gaya hai... chalo jaldi smile karo

Uski baaaat sun Shiraz Maya ke aansu Saaf karta hai aur abb dono smile karte hain

Maya : Abbi chalein?.. sab wait kar rhe honge..

Shiraz : Hnn chaliye ๐Ÿ˜Š

Abb dono car mein jakar baith jate hain par abbDono ke cehre par ek alag ki muskan thi wahin Iss aadhe bache hue unke safar mein khamoshi nhi Balki Maya chik chik thi... yani jo inn 3 saalon Mein usne jhela... Meher aur Sam ki harkatein... Sab Shiraz ko bata rhi hoti hai... Aur Shiraz bhi Bina kisi shikayat ke uski sari baatein sunta rehta hai

~ OTHER SIDE ~

Sab log picnic spot par paunch gaye the Jo ki ek park tha jise side par ke badi hi river thi With many activities... wahin sab log wahan par Mat bicha kar Saman rakh kar baith jate hain

inn sab mein Isha aur Aadhya side jakar baat karne lagte hain

Isha : Bhabhi humara plan fail toh nhi na ho jaega..

Aadhya : Nhi nhi Ishi... aisa socho... agar aaj bhi Unn dono misunderstanding dhur nhi hogi na toh (meher ki taraf dekhti hai jo Rabbit ke sath khel rhi thi) uss bachi ka dil tut jaega...

Isha : Nhi nhi... Shiv ji kabhi bhi chote bachon ko nirash nhi karte... Vo bachi chahti hai ki uske mummy Papa ek ho jaein... aur dekhna Bhabhi... sab thik ho jaega.... ๐Ÿ˜Š

Adhya : Yes..๐Ÿ˜Š

Abb vo dono baki sab ke pass chalein jate hain Wahin unn dono ko dekh Manyushek jo sath baithe Vo ek dusre se kehne lagte hain

Abhimanyu : Yeh dono aaj kao kuch zayda hi sath nhi Rehne lagi hain ๐Ÿซ 

Abhishek : Hnn... koi toh Khichdi pak rhi hai dono ke bich... ๐Ÿซค

Abhimanyu : Yrr mujhe toh Loveheart me sath Time spend karne ka mauka hi nhi milta.... 24 mein se 12 hours toh dono Sath mein rehti hain aur bache hue 12 hours vo chuza chipak jata hai ๐Ÿ˜‘

Sam : (Isha ke pass jate hue) Fairy tale ki Fairy...

Abhimanyu : (to Abhishek) Dekh dekh... aa gaya Firse yeh chuza meri Loveheart ke pass ๐Ÿซ 

Abhishek uski baat sun hasne lagta hai

Isha : (to Sam) Bolo bache...

Sam : Mumma kab aayenge?

Isha : Bss aane hi wale honge...

Tabhi ....

Zainab : Aaa gaye...

Uski baat sun Aadhisha , Meher aur Rabbit uss taraf dekhne lagte hain bohot hi umeedon ke sath Wahin vo dono sath mein aa rahe the , Maya ne Shiraz ki arm pakdi hui thi wahin dono ke cehre par ek alag hi Camak aur khushi thi jo dekh Aadisha, Meher aur Rabbit ek sath bolte hain

Them: Sulha ho gayai!!!? ๐Ÿ˜ƒ

Yeh sun Shiraz sharmate hue sar niche kar leta hai Aur Maya Sharmate hue halka sa hnn mein sar hilati hai jisse Aadisha, Meher aur Rabbit khushi mein jhoomne lagti hai

Aadisha : Yeah ๐Ÿฅณ... finally ๐Ÿ˜†

Khushi : Tum dono itna khush kyu ho rhi ho?

Aadisha : Aap log nhi samjhoge ๐Ÿ˜ฉ....

Unn dono ke pass Maya aati hai aur unn dono ko hug kar leti hai

Maya : Thankiu di...๐Ÿ˜Š

Aadisha : Thnkiu kyu?

Maya : (hug break karti hai) Kyunki mai janti hoon Yeh sab aap done ne hi kiya hai... (abb Rabbit aur Meher ki taraf dekhti hai) Aur inn dono shaitan ne ๐Ÿ˜„

Bhoomi : (to khushi) Yeh sab kya baatein kar rhi Hain... mere kuch palle mhi padh raha..๐Ÿ™

Khushi : Mere bhi... Hume kya... inke baatein yahi jaane

Abb sab sath mein baith kar picnic enjoy Karte hue lunch Jo ki vo ghar se bana kar laye the vo karne lagte hain wahin Maya aur Shiraz sath mein baithe the aur Haste hue ek dusre baatein bhi lar rhe the jo dekh Sam apni jagha se uth kar Maya ke pass jaane lagta hai lekin Isha use pakad kar apni godh mein bitha leti hai jisse abb Sam ka dhayan Maya aur Shiraz se hath jata hai

To Be Continue...

Write a comment ...

Sunlight Author

Show your support

Making characters, you'll love, hate and never forget ๐Ÿ”ฎ๐Ÿช„

Write a comment ...

Sunlight Author

Creating stories you'll remember, and characters you'll never forget. ๐Ÿ“–โค๏ธโ€๐Ÿฉน